Android Phones me New Nougat version kaise update kare
Aajkal sabhi log Android phones ka use kar rahe hai or pichle kuch months me iske users tezi se badh rahe hai.
In kuch salo me Android ne Apne software versions me kafi changes kiye hai. Android apne users ko time-time par New update versions provide karta hai taki users old version se bore na ho or Phone ko update karke new Features ka use kar sake.
Android ne apne users ke liye update versions launch kiye hai or abhi iska ek new version launch hua hai jiska naam Nougat version hai. Aaj main aapko is post me Nougat version ke Features or isko install karne ka tarika bataunga.
Android 7.0 Nougat version me kon se New Features Add kiye gaye hai ?
Android 7.0 Nougat me aapko bahut se new Features mil rahe hai unme se kuch Features ke bare me main aapko bata raha hu.
File Manager : iske File manager me kuch changes kiye gaye hai. Ab aap is se Google ingestion service File sharing ka bhi use kar sakte ho.
Notification bar : Notification bar me bhi kuch changes kiye hai pahle aapko app ki Notification par click karke us app ko open karna hota hai lekin ab aap homepage par hi full Notification dekh sakoge.
Battery Life : Phone me Nougat version install karne ke baad aapke phone ki Battery life bhi increase hogi.
Multitasking : jab aap phone me ek sath 2-3 app eksath use karte ho to is process ko Multitasking kahte hai. Nougat version me Multitasking Feature ko bhi improve kiya gaya hai.
In Features ke alawa bhi kai or New Features hai lekin unke bare me aapko Nougat version install karne ke baad hi pata chalega.
Apne Phone me Android 7.0 Nougat version kaise install kare ?
Nougat 7.0 version abhi sare Android phones ke liye Available nahi hai isliye sabse pahle ye check kariye ki Nougat version aapke phone ke liye Available hai ya nahi hai.
Ye check karne ke liye niche diye link par click kare.
Step 1. Sabse pahle apne phone ka puri tarah charge kar le kyonki agar update karte time phone switch off ho gaya to software corrupt ho jayega.
Step 2. Ab apne Phone ka internet data On kare agar aap 4G use karo to aapki file fast download hogi.
Step 3. Apne phone ki setting me jaye or About phone ke option par click kare.
Step 4. Ab yaha aapko system update ke option par click karna hai.
Important Note : Agar aapke phone me system update ka option show nahi ho raha hai to phone me *#*#2432546#*#* dail kare.
Step 5. Iske baad aapko check for updates ke option par click karna hai.
Step 6. Ab aapka update version download hone lagega.
Step 7. Jab puri tarah download ho jaye to install par click karna hai.
Step 8. Ab aapke phone ka updating process start ho jayega or isme 2-4 hours bhi lag sakte hai.
Step 9. Update process complete ho jane ke baad aapka phone Automatically restart ho jayega or aapke phone update completeka message show hoga.
Important Notes : dosto phone update karne se pahle apne phone data ka backup bana le kyonki update process me aapka phone ka data Erase bhi ho sakta hai.
Is post me maine aapko Android 7.0 Nougat version install karne ke are me bataya agar aapko ye post pasand aaya ho to isko social sites par bhi share kare taki aapke friends ko bhi iske bare me jankari mil sake.
Agar aap hamse koi sawal puchna chahte hai to comment karke jarur bataye ham aapki puri help karenge.
Thankyou Readers…
No comments:
Post a Comment