Popular 11 Android Mobile Secret Tips in Hindi 2017
1. Agar Android Mobile Hang Or Garm Ho Rha Ho To Kya Kare :-
2. Android Mobile Me Data Saving Kaise Kare :-
Dosto “2g Ghotale” ke bad 2g internet pack ke dam badh gye hain or badh rhe hain. aise me data saving karna aapke liye bahut jyada faudemand hai. Data saving ke liye mai aapko kuch steps btata hu jinse aap apne Android mobile me data saving kar sakte hain –• Apne Mobile Ki “setting” me jaye.• waha “Data Usages” par click kare.
• ab “Mobile Data” me jaye or apni billing Cycle ke din add karde.
• aap date to date or wahi apni data limit set kijiye.
• jaise agar aapke pas 1GB yani ki 1024 MB data hai to apne graph ko 1024 Mb tak krde.
• Ab aap jaise hi Data ending tak aaenge yani ki 900MB ya iske aaspas aaenge to aapka mobile aapko bar bar message dega ki “AAPKA DATA KHATAM HONE KO HAI”.
3. Ek Android Mobile Me Chahiye 2 WhatsApp :
Dosto kyonki WhatsApp india me bahut jyada use hone wala messenger hai isliye WhatsApp sabhi Android mobile user use karte hain jo social networking karna pasand karte hain. lakin bahut se log ek mobile me 2 WhatsApp chalana chahte hain wo bhi ek mobile me to koi bat nhi friends ab aap aisa kar sakte hain mtlb ki 2 WhatsApp chala sakte hain. jaisa ki maine HinditrickBlog.com par meri pichli posts me aapko “Ek Mobile Me 2 WhatsApp Kaise Chahiye” Rooted mobile ki Trick btaye thi or itna hi nhi friends HinditrickBlog ne to “Ek mobile me 2whatsapp Bina Root chahiye” ke bare me bhi btaya tha. to esliye aap yaha en dono links par click karke enke bare me jankari pa sakte hain.4. Android Mobile Ke Liye Best Battery Solution :
Dosto Android mobile ki battery ka jaldi khatam ho jana sabse badi problem hai. agar aapke pas safer me PowerBank nhi to aapmo battery problem ke bare me pta chata hai. aise me ek aap “Greenify” aapki bahut jyada madad kar sakta haiMobile me kuch apps apne app chate rahte hain jinse battery jaldi khatam hoti hi. jab hum Android mobile me kisi aap ka istemal nhi kar rhe hain to bhi aaps Background me chalti rahti hain. aise me Greenify aap aapke un aaps ko background me chalne hi nhi deta jaisse aapki battery life aachi bani rahti hai. aap iske liye Greenify aap ka istemal jarur kijiye.
5. Apps Update Aane Par Kya Kare :-
dosto har android user average kam se kam 15 se 20 aaps to jarur se jarur karta hai. Aise me aapko har roj apps update ke notifications milte honge. aap sochte honge ki ab kya kiya jaye ? apps ko update kiya jaye ya nhi ? to mai aapko iske bare me kuch intresting jankari deta hu –
Derasal hota kya hai ki sabhi apps Android operating system ke sabhi Android mobile phone ke liye design kiye jate hain. lakin kuch mobile me koi app thik se nhi chal pata ya error show karta hai to company us app ko fir se design kar deti hain jo ki play store par aapko nazar aata hai ki aapke en aaps ka update aachuka hai. aise me aap unhe har roj update karke apna mobile data waste mat kijiye. aap sirf month me ek bar hi apps ko update kijiye.
6. Android Mobile Me Secret Video Record kaise kare :
Mobile me secret video record karna bahut aasan hai. mai aapko SVR2 apk ko apne Android mobile me install karne ki selah deta hu jaha aap mobile me game khelte hue bhi or koi bhi kam karte hue secret video ko record kar sakte hain.
7. Google Map ki Power Ko Samjhe :-
agar aapke pas Android mobile hai or aapko Google maps ke bare me jayda jankari nhi hai ya aapne google map ka upyog nhi kiya to ye aapki sabse bdi nadani hai. jaydater log google map ka upyog Duri mtlb ki distance ko napne ke liye karte hain. jabki Google map aapko isse bhi kahi jyada btata hai. agar aap kisi Anzan jegeh par hain to ye aapko rasta bta sakta hai. Google map aapko public transport suvidha deta hai. iske sath hi google map aapko OLA or UBER jaisi taxi services se jane ka anumanit kiraya bhi batata hai. agar aapke Android mobile me internet ON hai to ye aapko kisi bhi jegeh aapki live position bhi batata hai. Google map app kisi vardan se kam nhi hai.
8. Android Mobile Choori Ho Jaye Tab Kya Kare :-
Android mobile ka kahi kho jana ya chori ho jana bhi ek bahut badi samshya hai. aise me aap apne personal deta ke chori hone jaise events se darte rahte hain. lakin mai aapko btana chahunga ki aise me aap ghabraye nhi or apne kisi nazdiki internet cafe me jakar Google Android mobile manager me jakar apni mail id or password ko enter karke apne mobile ko khoje. agar aapka mobile on hai to ye aapko aapke mobile ki thik location bta deta hai jaha aapka mobile hai. agar aapko Android mobile device manager ke bare me nhi pta hai to chinta mt kijiye aap iske liye hamare es post ko padhiye – “How To Track Lost Mobile Best Trick 2017 Using Device Manager”
9. Android Mobile Ko Automatically kaise chalaye :-
agar mai aapse kahu ki aap jo aadesh apne mobile ko doge to aapka mobile aapke aadesh ke anusar kam krega, ye bat aapko kaisi lgi. aap soch rhe honge ki kya aisa bhi ho sakta hai. mai aapko btana chahunga ki agar aapke pas ek ache feature wala fast loading mobile phone hai to aap ye kam kar sakte hain. eske liye aapko Google Now app download karna hoga. or Google now app me jakar aap “open whatsapp” bolkar whatsapp ko open kar sakte hain. iske liye aapka phone thik thak speed wala hona chahiye.
10. Secret Files Kaise Hide kare :-
Android user apne mobile me bahut sari personal files rakhte hain jinhe wo hide karna chahte hain. waise to Google play store par iske liye aapko bahut sare aaps mil jayenge lakin yaha mai apako ek aisa tips deta hu jaha aap bina app ko download kre sidhe files ko hide kar sakte hain. eske liye aap apne file manager me jakar jis file ko hide karna ho uska Rename starting me ” . “ lagakar karde.
jaise manlo aapki koi personal image hai jiska name hai “HinditrickBlog.jpg” or agar aap isko hide Karna chahe to aap iska rename es tareh se kre “.HinditrickBlog.jpg” aisa Karen par wo file apake Android mobile me hide ho jaegi. aap jab bhi us file ko dekhna chahe to apne file manager me jakar “Show Hidden Files” par click kare aapka file show karne lgega.
11. LED Screen ko Mobile ki Screen Kaise Banaye :-
Agar aap ye sochte hain mi aapke Android mobile ki screen kuch badi hoti to ye kuch hed tak sambhav ho sakta hai jo ki aao apne led se kar sakte hain. agar aapka led 15, 21, 32 jitna bhi inch ka hai aap apne Android mobile ko us par chala sakte hain. sabhi Android mobile phone me micro HDMI support nhi hota lakin sabhi ke sabhi MHL adapter ko support jarur karte hain. to aap bs MHL adapter or HDMI cable ki madad se apne mobile ko led se connect kijiye or ek bahut jyada aapki led ki screen par games, movies ka maza lijiye.
No comments:
Post a Comment