Windows 7 Computer Ko Windows 11 Kaise Banaye
How to convert Windows 7 and 10 Computer into Windows 11? Windows 7 and 10 PC ko Windows 11 Kaise Banaye? Hello friends aajke is post ka title dekhkar sayed aap soch rahe ho ki windows 11 kab release huya! aapne sahi socha kyuki aabhi tak microsoft windows 11 release nahi kiya hai aur kabhi release hoga ya nahi wo bhi hame nahi pata, but aaj main aap logo ke sath ek aisa Skinpack share karunga jisko use karke aap aapne computer ya laptop ko Windows 11 jaise bana sakoge. Dosto ye koi OS nahi hai ye ek Skinpack hai aur skinpacks.com ne iska nam windows 11 diya hai, jab windows 11 release hoga tab dikhne me kaisa hoga wo kisi ko nahi pata but ye jo skinpack hai ye aapko jaruri pasand ayega.
Windows 7 & 10 Computer Ko Windows 11 Kaise Banaye ?
Dosto aagar aapke computer and laptop system hai to aap easy tarike se aapne pc par is windows 11 skinpack ko use kar sakte ho but aagar aapke pc system utna accha nahi hai to aap isko use na kare to accha hai. aagar aap windows 8 use karte hai to ye skinpack aapke kam ka nahi hai ye sirf windows 7 and 10 me work karega.
Step 1. Pahle aap niche se Skinpack ko download kare, download karne ke liye do link hai ek skinpacks.com ka website se aur ek Direct download link. aagar aapke internet speed slow hai to aap direct link par click karke skinpack ko download kare.
Step 2. Download karne ke bad aap pahle aapne Antivirus ko off kare, antivirus ko off karne ke bad Winrar software ke madad se Skinpack ko open kare uske, uske bad skinpack ko install kare install bahuti easy hai normal software jaise install karte hai same usi traha.
Step 3. Install hone me thoda time lagega, install hone ke bad aap Finish button par click kare.
Step 4. Aapke computer par ye windows 11 ka skinpack install ho gaya hai aabhi dekhiye aapka computer ka jo look hai wo bilkul badal chuka hai. aagar thik tarike se isko install kiya hai to niche ki traha aapko dikhne ko milega.
Note: Aagar aapko ye skinpack accha nahi lagta hai to aap Control panel par jakar is skinpack ko Uninstall kar dijiye ga uninstall karte hi aapke computer pahle jaisa ho jayega.
Friends main ummid karta hu ki aap windows 11 ka ye new look acch laga hai, aagar aapko lagta hai ye post aapke liye helpful hai to please post ko aapne dosto ke sath share kare, aagar aapko ye skinpack accha nahi laga to kyu nahi laga aap comment karke bata sakte hai, aajke liye itna hi bye.
No comments:
Post a Comment