Chori Ya Khoya Hua Mobile Phone Ke Location Kaise Pata Kare
Hello, dosto aajke is post par me aap logo ko batane wala hu ki Chori hua ya khoya huya mobile phone ki location kaise pata kare. Yani ki lost or stolen Phone ko kaise dhunde. Mobile phone chori hona ya phir kho jana aabhi ek common baat hai, aap nahi bata sakte ki aapke jo mobile hai wo kab chori hoga ya kab kho jayega, kyuki mobile kabhi bhi chori ho sakta hai or kho bhi sakta hai.
Lekin dosto abhi Android ka jamana hai aur is jamane me chori hua ya khoya hua mobile ko dhundna bahuti asan hai aagar aap chaho to. Aagar aapke koi android mobile chori hua hai ayr aap usko pana chahate ho to niche ki step ko follow karke aapne chori hua mobile ki Location pata karke aapne mobile ko dhund sakte ho.
Kya Kya joruri hai churi hua mobile ko dhundne ke liye ?
Chori ya khoya hua mobile phone ko dhundne ke liye aapke mbile par ye sab hona bahuti jaruri hai.
1. Aapke mobile phone android hona chahiye.
2. Mobile Gmail se login hona chahiye, aap Google play use karte ho to login to jarur hoga.
Khoya Hua Mobile Ke Location Kaise pata kare ?
Step 1. Pehle aap "www.google.co.in/android/devicemanager" is link ko visit kare, visit karne ke bad aapke mbile phone par jo gmail account login hai usi gmail ko aabhi computer par ya dusre mbile par login kare.
Step 2. Login karne ke bad thoda wait kare ek naya page khule ga, aur login hone ke bad aapke mobile naam aur model show karega aur aapke chori hua mobile se connect bhi ho jayega. Connect hone ke bad aapko mobile model ke niche Location dikh jayega jaha last aapke mobile on
huya tha.
Step 3. Aabhi aap dekhiye aapke samne ek Map khul jayega aur abhi aapke mobile jis jaga hai us jaga ka naam Location sab kuch show karega, us Location ke hisab se aap aapne mobile ko pata kar sakte hai. aur agar aapke mobile par jaruri koi data hai to aap Google devicemanager page se hi aapke mobile ke sare data delete kar sakte hai. Uske liye aapko Erase button par click karna hoga. aur agar aap Mobile ko lock karna chahate hai to Look par click kare. aur agar aap aapne mobile par ring karna chahate hai to Ring par click kare.
Dosto upar ke tips ko follow karke aap asani se aapna chori huya ya khoya huya Mobile phone ko khoj sakte hai ya dhund sakte hai.
Note: Aapne mobile par jo gmail account login hai us gmail ko computer ya mobile se login kare. Or aapke mobile ko andorid hona joruri hai dusre mobile ko sayed aap is tips se finde nehi kar sakte.
Aajke liye itna hi aagar aapko ye post accha laga to post ko jarur aapne dosto ke sath share kare sath hi facebook twitter par bhi share kare. aur agar koi bhi problem hota hai to niche comment kare.
No comments:
Post a Comment