AdSense page level ads(beta) special mobile device ke liye Google AdSense ne banaya hai,Is ads units ke jariye Google AdSense me ab pop up ads ka options available ho gaya hai,isse hamari AdSense earning me ijafa hoga,is post me apko me page level ads(beta) kya hai aur use kaise use karte hai iske bare me jankari deta hu
Aj morning me maine jab apna AdSense account khola tab muje uske homepage me ek notification is tarah ka dikhayi diya "Monetize your content with inovative new adsformat.page level ads optimized only appear when they'll well perform well for you.theprovide good user experience and they are easy setup too"
Anchor/Overlay And Vignettes Ads Use Karne Ke Fayde
1)Ye special mobile device ke liye banaya gaya hai aur India me mobile se net use karne user kafi hai isliye har Indian blogger ko ye ads format use karna hi chahiye
2)Is ads use karne se hamare adsense revenue me kafi ijafa hoga
3)Google AdSense me popup ads unit ka option nahi tha jo ads unit se AdSense usero ko popup ads ka options bhi ab mil gaya hai
Page Level Ads(Beta) Ke Features
1)Naya ads format:Anchor/Overlay And Vignettes Ads
2)Ye special mobile device ke liye isliye desktop ads pe uska koi asar nahi hoga
3)Sabase bada features:Don't count towards your ads 3 per page limit
4)Sirf ek hi ads code hamare template me add karna hai sabhi page me ads show karne ke liye
5)Google ne user ke mind ko dhyan me rakhkar is ads unit ko banaya hai
Anchor/Overlay Ads Aur Vignettes Ads Me Kya Different Hai
Anchor/Overlay Ads Unit:ye ads hamari site ke niche show hote hai,ye ads units sticky hai koi bhi visitors use asani se hide kar sakta hai
Vignettes Ads Units:Ye ads jab koi visitors hamari post ko read karne ke liye open karta hai tab bich open hota hai aur visitors use asani se close ke options se close kar sakta hai aur hamari post read kar sakta hai
Note:Ye dono ads unit sirf mobile device ke liye hai iska effect desktop me nahi padta haiaur dono ads unit ke liye hame sirf ek hi codes template me add karna hai
AdSense Page Level Ads(Beta) Apne Account Me Kaise Enable Kare
AdSense Page Level Ads(Beta) Apne Account Me Kaise Enable Kare
2)Site open hone ke bad My Ads ke option me click kare
3)Uske bad left side me se Page level ads ke options me click kare(Note:Ye options sabhi AdSense users ke liye available nahi hai)
4)Ab Anchor/Overlay Aur Vignettes Options ke samne jo do button hai white color ke use enable kare,enable hone ke bad ye blue color ke dikhenge
5)Ab dono ads units ko on karne ke bad niche Get Code ka option hai use par click karke code copy karna hai
6)Apne jo code copy kiya hai use apne blog ke template me add karna hai
>Blogger: Agar apka blog blogger me hai to Ap Blogger.com ki site open kare,Dashboard me se Template>Edit HTML ka options select kare aur <head> aur <body> ke bad ye code paste karde
>WordPress:Agar apka blog WordPress par hai to sabase pahle uski site open kare ab Dashboard>Appearance >editor >header.php ke option me jake <head> aur <body> bad code paste karde
No comments:
Post a Comment