Google Playstore se Paid Apps Free me Download kaise kare Full Guide
Hi Friends,
Aaj main fir se ek interesting trick lekar aapke samne hazir hua hun main janta hu ki ye trick Aapko bahut pasand ayegi kyonki iski help se aap Google Playstore ke Paid apps ko free me download kar sakte ho.
Agar aap Android phone use karte ho to aapke phone me Google Playstore app jarur hoga or aap apps download karne ke liye iska hi use karte hoge kyonki yaha se aap sabhi types ke apps mil jate hai.
Google Playstore se ham bahut sare Apps or games free me download kar sakte hai lekin aapne dekha hoga ki Playstore par bahut Se apps aise bhi hai jo ki paid hai jise download karne ke liye hame paise kharch karne padte hai.
Agar koi aisa paid app hai jo aap download karna chahte ho or aapke paas usko purchase karne ke liye paise nahi hai to don’t worry is post me main ek aisa trick share kiya hai jiski help se aap paid apps ko bhi easily free me download kar sakte ho.
Paid Apps ko Free me kaise Download kare ?
Dosto is trick ko use karne ke liye aapko Blackmart app ki jarurat padegi is app ko aap hamare link se download kare uske baad jo instructionshamne niche bataye hai unko follow kare.
Step 1. Sabse pahle apne phone me Blackmart app install kare isko download karne ke liye niche diye link par kare.
Step 2. Ab is app ko open kare or upar Right side me Menu (upar right side me 3 points bane honge) ke option par click kare.
Step 3. Iske baad aapko 3 options show honge jaise setting, sort mode and About inme se aapko Sort mode ka option select karna hai.
Step 4. Ab fir se aapko 3 options show honge aapko sort mode ke option par click karna hai or Rating ko select kar lena hai.
Step 5. Ab sort order ke option par click kariye or Descending ke option ko select kare.
Step 6. Iske baad Filter ke option par click kare or Paid ke option ko select kariye.
Step 7. Ab aap kisi bhi paid app ko search kariye or usko free me download kar lijiye.
Last Words For You
Dosto is post me maine aapko paid apps ko free me download karne ka easy tarika bataya hai agar aapko ye post pasand aaya ho to please isko social media par bhi share kare taki aapke friends ko bhi iske bare me jankari mil sake.
Agar aapko koi sawal puchna ho to comment karke jarur bataye ham aapki puri help karenge.
No comments:
Post a Comment