Bhim Kya Hai ? Bhim App Kaise Use Kare ? Paise ki Problem Solve?
Bhim Kya hai? Bhim App kaise use kare? abhi sabhi ke maan me ye ek sawal hai. Dosto aagar aapke maan me bhi ye sawal hai to koi baat nahi aaj haam iss post me main aap logo isssawal ka jawab dunga. Dosto sayed aap jante ho ki kuch din pehle india ke PM Narendra Modi jine ek app launch kiya hai jiska naam diya hai BHIM ( Bharat Interface For Money ), iss app ke madat se aap online mony send, receive kar sakoge kisi bhi india bank account se. Iska kaam lagvag PayTM ki traha hi hai, aagar aapne paytm use kiya hai too aap Bhim UPI app ko asani se istemal kar sakoge.
Bhim app ke sabse acchi baat hai ki ye indian government ne khud banaya hai. Aagar aap paytm jaise app istemal karte ho to aapko abhi uska jorurat nahi hogi kyuki aap wo sare kaam abhi iss bhim app se kar sakoge. Too dosto chaliye dekhte hai iss app ko kaise download karte hai, kaise use karte hai.
Bhim UPI kya Hai ? Bhim App Kaise Use Kare ?
Bhim app kya hai wo too jaan gaye ho abhi chaliye dekhte hai iss app ko kaise istemal karte hai.
Dosto iss app ko istemal karne se pehle aapko kuch baat dhyan me rakhna hoga. Jaise ki aapke bank account me ek mobile no registration hona chahiye, sath hi aap jiss mobile se iss bhim app ko istemal karoge uss mobile par wo SIM bhi hona chahiye, aagar ye sab aapke thik thak hai too aap niche ke step ko follow kare.
Step 1. Pehle aap iss link se Bhim App ko Download kare uske bad install bhi kare, bohuti chota app hai.
Step 2. Install karne ke bad Just App ko open kare, uske bad "Choose Language" option khulega aap just "Next" par click kare.
Step 3. Abhi aapke samne aur 2 bar "Next" option ayega aap click kare uske bad last me "LET'S GET STARTED" button par click kare.
Step 4. Abhi aapke samne ek page khulega jidhar aapko aapke uss SIM ko choose karna hai jiss sim ka no aapke bank account ke sath juda hai. Idhar ek baat hai aagar aapke Mobile Android 6 version ke niche hai to aapko settings par jakar aapke jo sim bank se add hai usko select karna hai aur aagar aapke mobile par Android 6 hai too aapke samne niche ki traha page ayega aap isme se aapne uss sim ko choose kare.
Note: Aagar aapke mobile par Android 5.1 ya isse niche ki version hai too aapke samne niche kitraha ek page khulega aur aapko settings par jakar aapne uss sim ko select karna hai jo aapke bank account se add hai yani ki verify hai.
Step 5. Jobhi ho aap just Next par click kare, Next par click karne ke bad aapke mobile par ek message ayega aur aapke mobile auto "Verify" ho jayega.
Step 6. Aabhi aapke samne ek Passcode page ayega issme aapko ek passcode varna hoga koibhi ek passcode dijiye aapne hisab se uske bad Confirm passcode bhi dijiye uske bad aapke samne Ya App khul jayega.
Step 7. Aab aapke samne app khul jayega aap niche se "Bank Account" par click kare aapko aapne bank naam dikhe ga aagar nahi dikhta hai too aap aapne bank name search karke bank ko select kare.
Step 7. Aabhi aapko aagar kisi ko paise send karna hoga too aap simple Send button par click kare uske bad "Mobile/Payment Address box par uska mobile no add kare jisko aap paise Send karna chahate ho.
Step 8. Upar mobile no add karne ke bad no ko ekbar "Verify" kare side me verify button milega, uske bad aap "Amount" option par jitna Paise send karna hai wo Amount type kare uske bad Remark option par aagar kuch likha ho to likhe nahi to "Pay" par click kare.
Step 9. Pay par click karne ke bad aapke pass UPI pin code ayega aap idhar uss pin ko dale, abhi aap wait kare aapke paise send ho jayega.
Friends aap isi traha Bhim UPI app ke madat se kiko bhi paise send kar sakoge, aagar aapke shop ya dukan hai too aap QR code ko bhi istemal karke paise receive kar sakte ho.
Aagar aapko ye post accha laga hai too please post ko share kare, aagar kuch bhi sawal hai too niche comment kare, yafir post me koi problem hoto tab bhi comment karke bataye.
No comments:
Post a Comment