Top 8 Android Secret Settings Tips & Tricks : Jane Hindi Me
Hello friends aajke iss post me main aap logo ke sath Top Android Secret tips and tricks share karunga joo aapko pehle se nahi pata hai. Aabhi too world me sabse popular operating system hai Android aagar aap mobile istemal karte ho too aap bhi jorur android mobile phone hi istemal karte ho. Dosto android mobile ke under bohut sare settings option hai jin me se ham sabhi ko lagvag sab settings ke kaam ke bareme pata hai. Lekin uss settings ke under kuch aisa settings hai jo bilkul Secret hai aur isi liye isko Secret settings kaha jata hai.
Asal me ye jo Secret settings hota hai wo aapko baki settings ki traha samne nahi dikhe ga in Secret settings ko use karne ke liye aapko kuch kaam karna hoga yani ki aapne phone se kuch settings ko enable karna hoga. Too dosto chaliye jante hai android mobile ke kuch best tips Secret settings ke bareme.
8 Stay awake :
Friends iss settings ka kaam hai aap jaab aapne phone ko charge par connect karte ho tab aapke phone screen light off hojta hai, lekin aagar aap chahate ho ki aapne mobile phone light band na ho too aap iss option ko enable kar sakte ho. ye settings tab kaam ayega jaab aap koi joruri kaam kar rahe ho aur aap nahi chahate aapke mobile screen light off na ho tab. iss settings ko on karne ke liye same settings par jakar " Stay awake" par click kare, on hojayega.
Asal me ye jo Secret settings hota hai wo aapko baki settings ki traha samne nahi dikhe ga in Secret settings ko use karne ke liye aapko kuch kaam karna hoga yani ki aapne phone se kuch settings ko enable karna hoga. Too dosto chaliye jante hai android mobile ke kuch best tips Secret settings ke bareme.
Step 1. Suru karne se pehle aapko aapne mobile phone par jana hoga uske bad aapko "Developer option" ko enable karna hoga uske liye aapko pehle aapne phone settings par jana hoga, About phone ke under jakar "Build number" par 7 bar click karna hoga".
Step2. Click karne ke bad aapko back par ana hoga, abhi aap aapne phone settings par ek option dikoge jiska naam hoga "Developer option" abhi aap iss Developer option par click kare.
Dosto abhi niche se aap dekhiye main 8 settings ke bareme bataya hu, jo sabhi Developer option ke under hi hai.
1 Force RTL layout direction :
Dosto ye ek aisa Secret setting hai joo aapke bohut kaam a sakta hai, lekin aagar aap Left-handed nahi hoo too ya aapke kaam nahi ayega but joo log Left-handed hai matlab baye haat se sab kaam karta hai unke liye ye option bohuti kaam ka hai. iss option ko use karne ke liye aapko Just "Developer option" jana hoga uske bad thoda niche aapko "Force RTL layout direction" iss naam ka ek option milega iss par click karke option ko enable karlena hai bas aapke mobile screen RTL mode me ho jayega. aagar aapko firse pehle jaise karna hai too aap just off kare settings ko aapke sab kuch pehle jaise ho jayega.
2 Improve Mobile Speed :
Dosto aagar aap chahate hai ki aapke mobile baki sabse thoda bohut fast kaam kare too aap aapne iss settings option se asani se aapne mobile ke ko speed hai wo kuch hadtak improve kar sakte ho. Iske liye aapko same "Developer option" 3 option milega 1. Window animation scale 2. Tarnsition animation scale 3. Animator duration scale, inn tino option ko aapkoe off kar dena hai yafir .5x karna hai. too aap off kare yafir .5x select kare uske bad aap check kare aapko phone pehle se fast kaam kare ga, fast iss liye huya aapne aapke phone se animation ko off kar diya hai yafir kaam kar diya hai is liye too aap isi traha aapne phone speed improve kar sakte ho.
3 OEM unlocking :
Ye option sirf aur sirf aap jaab aapne phone ko root karne jate ho tab iska use hota hai, lekin dosto aap isko aagar unlocking karte hai too aapko warranty nahi milega, is liye mere hisab se aap iss option ko use na kare to behetar hai. Lekin yebhi android ke ek bohuti kaam ka Secret Settings me se ek hai. OEM ko Unlocking karne ke liye aapko same "Developer option" se "OEM unlocking" par click karke on karlena hai.
4 Process Stats :
Dosto ya sach me bohuti kaam ka ek settings hai, iss settings kaa kaam hai ki aapke mobile par abhi jitna app install hai woo aapke phone ka kitna memory kha raha hai wo sab kuch aap iss option se pata laga sakte ho. aur aap chaahto iss opiton se uss kisi bhi app ko off bhi kar sakte ho. uske liye aap same settings se " Process Stats" par click karna hai uske bad jiss app ko off karna hai uss par click karke " Force Stop" par click karke app ko off karna hai.
5 Simulate color space :
Dosto yabhi bohuti majedar ek hidden settings hai, iss settings ke madad se aap aapne android mobile color ko black and white kar sakoge. isske liye aapko same settings option se " Simulate color space" par click kare, uske bad "Monochromacy" par click kare.
6 Force 4x MSAA : Improve Gaming :
Dosto ya jo settings hai ye kafi badhiya ek settings hai, iss froce 4x msaa settings ke madad se aap aapne mobile phone ke gaming ko improve karsakte ho. matlab aap aagar high type ke game khelte ho aapne mobile par too aap iss option ko on karke aagar khelte ho too aapko jada faida miega. isko enable karne ke liye simple "Developer option" par jana hai uske bad "Froce 4x MSAA" par click karna hai.
7 UBS Debugging :
Dosto ya bohuti kaam ka ek Secret Settings Tips hai, aagar aap aane phone ko kisi bhi computer ya laptop ke sath connect karna chaahte ho to aapko iss usb debugging ko jorur enable karna hoga, sayed aapko iss settings ke bareme pehle se pata tha lekin jinko nahi pata unko sayed madad milega.
Friends iss settings ka kaam hai aap jaab aapne phone ko charge par connect karte ho tab aapke phone screen light off hojta hai, lekin aagar aap chahate ho ki aapne mobile phone light band na ho too aap iss option ko enable kar sakte ho. ye settings tab kaam ayega jaab aap koi joruri kaam kar rahe ho aur aap nahi chahate aapke mobile screen light off na ho tab. iss settings ko on karne ke liye same settings par jakar " Stay awake" par click kare, on hojayega.
Friends yehi tha aajka Top 8 Android Secret Settings Tips & Tricks, aagar aapko lagta hai ki aap iss post se kuch naya sikha ho too please comment kare, aur aagar aapko lagta hai ki ye sare tips aur logo ko bhi jorurat pad sakta hai too please post ko aapne dosto ke sath share kare.
No comments:
Post a Comment