Top 5 Best Antivirus Android Mobile Ke Liye In Hindi
Hello, dosto aajke is post me main aap logo ke sath share karunga Android mobile phone ke liye konsa Antivirus best hai aur aapko aapne phone par konsa antivurs use karna chahiye. Dosto aabhi har ek bande ke pas aagar mobile hai to wo jarur android hai aur aabhi jio ke wajha se har ek mobile par internet bhi use hota hai, aagar aap bhi apane phone me internet use karte hai to aapko aapne phone par ek accha sa Antivirus use karna bahuti jaruri hai. Kyuki Jo virus hai wo jadatar internet browser ke wajha se mobile phone par ata hai.
Aagar aap chahate hai ki aapke phone virus se bacha rahe to aap ek accha
sa antivirus aapne phone me use kare. google play par aabhi bahut sare
free antivirus hai lekin sab accha nahi hota hai aur aagar aap new
mobile user ho to aapko pata bhi nahi chalega konsa antivirus aapke liye
accha hai konsa nahi, to niche main kuch best antivirus share kiya aap
in mese koibhi ek ko aapne phone par install kare.
Top 5 Best Free Android Mobile Ke Liye Antivirus
Friends niche jo Antivirus main share kiya hai wo sabse best hai aur sabhi free hai, lekin aapko niche diya geya antivirus mese sirf kisi ek ko use karna hai, kyuki ek phone me ek antivirus kafi hota hai.
1. Kaspersky Antivirus & Security :
Friends kaspersky mere hisab se sabse popular aur best ek antivirus hai, chahe wo mobile ho ya computer kyuki ye pehle computer me popular huya tha aabhi mobile par bhi ye bahut accha hai. Google play par iska rating hai 4.7 aur user hai 10 million to aap soch sakte ho kitna best hai. aagar aap ek accha antivirus dhund rahe ho to aapke liye ye best hoga.
2. Avast Mobile Security & Antivirus :
Avast world ke best antivirus mese ek hai, aagar aap chahate hai aapne phone par ek accha antivirus use karoge to ye aapke liye best hai, aagar aap aapne phone ko virus ke hat se bachana chahate hai to ye aapke niye bahuti badhiya hoga. Avast ko aabhi tak 100 million user ne use kar raha hai wo iska rating hai 4.5 to aap samaj sakte ho ye kitna accha aur kitna popular hai. aagar aap isko use karna chahate ho to niche se install kar sakte ho.
3. AVG AntiVirus FREE for Android :
AVG Jo log mobile ke sath sath computer use karte hai wo is antivirus ke nam jarur suna hai kyuki world ke best kuch antivirus me se ye ek hai, aagar aap chahate hai ek accha sa antivirus aapke phone me use karoge to aap AVG AntiVirus ko use kar sakte ho ye free hai aur aapko google play par ye mil jayega. aagar isko use karna hai to niche se download kare.
360 Security jo log android use karte hai unme se jadatar log phone me is antivirus ko use karta hai kyuki google play par sabse use kiya antivirus me se ye ek hai iska rating bhi bahuti accha hai aur jadatar log jo review karte hi wo bata te hai ki ye bahut accha kam bhi karta hai us hisab se ye best hai aap isko bhi use kar sakte hai.
5. CM Security AppLock Clean :
Dosto aagar aapko antivirus ke sath sath ek app lock bhi chahiye to CM aapke liye best hai kyuki is app me aapko antivirus ke sath sath App lock feature bhi mil jayega, main khud is app ko bahut din use kiya mujhe ye bahuti accha laga, iska ratings bahuti accha hai user review bhi accha hai.
Note: Friends upar me 5 best top mobile antivirus ke naam bataya hai sath download link bhi de diya hai aap sabhi ko ek sath ek mobile par use mat kare upar se kisi bhi ek ko aapne phone par install kare aur use kare, kyuki ek phone me ek Antivirus kafi hai.
Aagar aapko ye post accha laga hai to comment karke bataye, post me aagar koi problem hota hai to wo bhi bataye. kuch bhi sawal agar puchni hoto niche comment kare. Post aapne friends ke sath share jarur kare.
No comments:
Post a Comment