Amazon Affiliate Program se Paisa kaise kamaye - Full Guide
Amazon American E-Commerce Company hai or isko July 5,1995 me start kiya gaya tha. Amazon.com ko india me shoping karne ke liye best mana jata hai lekin kya Aap ye jante hai ki ham Amazon se Online paisa bhi kama sakte hai.
Aaj main Aapko Amazon Affiliate Program se paisa kamane ka tarika bata raha hu. Amazon Affiliate Program join karne ke liye Aapke paas ek Blog ya website hona bahut hai. Agar Aapke paas blog/website nahi hai to Apna Free Blog/Website banane ke liye yaha click kare.
Amazon world ke sabse bade marketplace me se ek hai or bahut se website owner And companies Apne products ko bechne ke liye iska hi use karte hai. Agar Aap blogger hai to Apne blog par Amazon ke kisi product ka review Publish karke or usme product ka Affiliate link Add karke Acha paisa kama sakte ho.
Agar koi customer Aapke Affiliate link par click karke product kharidta hai to Amazon Aapko 15% tak commission deta hai.
Affiliate Program kya hai, kaise kaam karta hai ?
Blog se Online paisa kamane ke liye Affiliate Program ko sabse best kaha jata hai. Aaj Internet par 1000+ website And companies hai jo Affiliate Program offer karte hai. Jab kisi company ko Apne product ka promotion karna hota hai to vo Apni website par Affiliate Program start karte hai. Ab dusre Blog/website owners uske Affiliate Program ko join karke us product ko apni site par promote karte hai or jab customers us product ko kharidte hai to website owners ko unka commission mil jata hai.
Amazon Affiliate Program kaise Join kare ?
Dosto yaha Aapko Amazon Affiliate Program join karne ka tarika Step by step bata raha hu. Amazon Affiliate Account banana ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.
Step 1. Sabse pahle Amazon Associate page par jaye or Join Now for Free ke option par click kare.
Step 2. Ab Aapke samne Log in ka option Ayega Agar Aapne Amazon Account pahle se bana rakha hai to Log in kare nahi to Create Account ke Option par click kare.
Step 3. Ab Aapko Amazon Account create karne ke liye kaha jayega. Is form ko niche screenshot dekh kar fill kare.
1. Yaha Aapko Apna naam Enter karna hai.
2. Isme Apni Email id Enter kijiye.
3. yaha Apna password Enter kare.
4. Ab vahi password fir se yaha Enter kare.
5. Iske baad yaha par click kare.
Step 4. Ab Aapke samne Account information ka form Ayega. Ye form Aapko thik tarah se fill karna hai iske liye Aap niche diye screenshot ki help le sakte hai.
1. yaha Aapko Apna naam likhna hai.
2. Isme Apna sahi Address Enter kare.
3. yaha Aapko Apni city ka name likhna hai jaise New delhi, old delhi.
4. Yaha par Apne state ka name Enter kare. Jaise Delhi, U.P, Bihar.
5. Isme Apne Area ka pin code Enter kare.
6. Yaha se Apni country select kare.
7. yaha Apna Mobile number Enter kare.
8. Isme No ke option par tick kare.
9. Ab ek baar Sari information check kar le or Next par click kare.
Step 5. Yaha par Aapko Apne blog/website ka url Add karna hai or yaha par mobile App Add karne ka Option bhi diya gaya hai.
1. Isme Apne Blog/website ke home page ka url Enter kare.
2. Url add karne ke liye click karna hai.
3. yaha se Aap Apne Android App ka Url add kar sakte hai.
4. Ab Aap Next par click kare.
Step 6. Ab Aapko profile form fill karna hai. Is form ko fill karne ke liye Aap niche screenshot dekh sakte hai.
1. yaha Aapko without space Apna name Enter karna hai.
2. Isme Apne Blog ka Url Enter kare.
3. Yaha par Apne Blog ka description Add kare.
4. Yaha Aapko Blog ka topic select karna hai.
5. yaha Aap jin products ko Apne blog par promotion rna chahte hai unko select kare.
6. yaha se Apne blog ka niche (subject) kare.
7. Aapke Blog par traffic kon-kon se Source se Aata hai un box par tick kare.
8. Aap jis Ad Network ka use karke Apne blog se income karte ho usko yaha click karke select kare.
9. Yaha Apke blog ke visitors and traffic bare me pucha jayega inme se Aapko sahi Options ko select karna hai.
10. isme Aapko upper jo captcha code dikhai de raha hai usko Enter kare.
11. Ab Aapko is box par tick karna hai.
12. Ab ek bar sabhi information ko fir se check kare or Finish par click kar dijiye.
Congrats, Ab Aapka Amzon Affiliate Account ban gaya hai lekin abhi ye puri tarah Approved nahi hua hai. Ab Amazon Aapke blog ko check karga or Agle 24 hours me Email se Aapko inform karega ki Aapka blog Approved hua ya nahi. Agar Aapko Approval mil jaye to Aap Amazon ke products ke banners and links Apne blog me Add karke paisa kama sakte hai.
No comments:
Post a Comment