Mobile phones ka lock kaise tode/khole?
Hi, Friends
Aaj ke is post me main aapko bata raha hu ki Mobile phones ka lock kaise tode ? matlab kisi bhi phone ko bina password ke unlock kaise kare dosto agar aap iske bare me janana chahte hai to is post ko end tak padhte rahiye.
Dosto kai bar aisa hota hai ki ham apne phone ko lock karke password, pattern bhul jate hai or ye soch kar pareshan ho jate hai ki ab hmara phone kaise unlock hoga fir apne phone ko unlock karwane kisi mobile repairing shop par jate hai or dukandaar isi bahane hamse 200-300 rupay ainth leta hai lekin dosto is post me jo trick main aap logo ko bata rha hu usme aapka ek bhi rupya kharch nahi hoga or aap bahut asaani se apne phone ko bina password ke unlock kar lenge.
Phone locks kitne type ke hote hai ?
Dosto jyadatar phones me 3 types ke lock hote hai joki hamare phone ke security ke liye hote hai.
1.Pattern locks : sabse jyada users pattern locks hi use karte hai isme hame apni mobile screen par 9 points show hote hai jispar ham ek pattern draw karna hota hai.
2.Password lock : is lock me hame keywords or numbers ko use karke phone lock karna hota hai.
3.Pin lock : isme hame numbers ka use karke phone lock karna hota hai.
Mobile phone ko bina password ke unlock kaise kare ?
Dosto is process me aapke phone ka sara data reset ho jayega or aapka phone bilkul new ho jayega is process ko start karne se pahle aap apne phone se memory card remove kar le jisase aapke memory card ka data safe rahe.
Dosto kuch mobile companies jaise Micromax, Samsung, htc or Android me Factory data reset ka option alag-alag tarike se aata hai or jyadatar mobile phones me same hai to main niche aapko 3 process bata rha hu unhe follow kijiye.
Micromax : Power key+volume up key+volume down key
Samsung : volume up+Home+Power key tino buttons ek sath dbaye rakhe 10 second tak ( agar Home button nhi hai to (volume up+ Power key)
HTC : volume up key+power key
Step 1. Sabse pahle apne mobile phone ko switch off kar de.
Step 2. Iske baad apne phone ko on kare or Power key+volume up key+volume down key ek sath dabakar rakhe jab tak Reset ka option na aaye.
Step 3. Ab aapke samne kuch option ayenge jisme se aapko Wipe data/factory Reset ka option select karna hai.
Ab aapka phone reset hone lagega thodi der wait kariye kuch der baad jab aapka phone restart ho jayega to pahle se jyada speed se kaam karega
Dosto ab to aap jaan hi gaye honge ki mobile phones ko bina password ke unlock kaise karte hai agar aapko hamse koi swaal puchna ho to aap hame commen karke puch sakte hai.
Or is trick ko apne friends ke sath bhi share kare taaki unhe bhi iske bare me jaankari mil sake.
Thankyou Readers........
Good work
ReplyDelete