Pages

Highlight Of Last Week

Search This Website

Wednesday, 16 August 2017

Computer vs Laptop me se kon best hai ?

Computer vs Laptop me se kon best hai?

Aaj is post me ham computer or Laptop dono ko compare karke dekhenge ki kon jyada behtar hai. Aajkal log Desktop computer se jyada Laptop hi kharidte hai kyonki isko kahi bhi le ja sakte hai lekin Desktop computer ke bhi kuch features hai jo Aapko Laptop me nahi milte hai.

Computer vs Laptop kon jyada behtar hai ?

Computer vs Laptop me se kon best hai ?


dosto jab ham computer kharidne market me jate hai to ham ye sochte hai ki Desktop computer le ya Laptop thik rahega. Is confusion ko dur karne ke liye ye post Aapki bahut help karega. Is post me maine Desktop computer or Laptop ke bare me detail se bataya hai jis se Aapko decision lene me Aasani hogi.

1. Price

Dosto koi bhi chij kharidne se pahle ham uska price pata karte hai or ye bahut important hota hai. Aajkal computeror Laptop dono hi kam price me Aapko Market se mil jayenge.
Computer ke mukable Laptop jyada mehnga hota hai ek Acha Laptop lene ke liye Aapko 30,000 Rs. tak kharch karne padte hai lekin computer Aapko 20,000 se 25,000 Rs. ke price me mil jata hai.

2. Design

Aajkal Market me slim and light weight Laptop aane lage hai. Laptop banana wali companies apne product ke Design ko or jyada behtar banane ki koshish karti rahti hai.
Desktop computers me jyada badlav nahi hua hai inka CPU bada hota hai. Agar Aap desktop kharidte hai usko rakhne ke liye Aapko jyada space ki jarurat hoti hai.

3. Keyboard and Mouse

Laptop me kuch time ke baad keyboard and Mouse kharab ho jata hai to Aapko ise Repair karwane ke liye servicecenter le jana hoga. Service center wale Repairing karne ke liye Aapse jyada paisa mangte hai.
Agar Aapke computer ka keyboard ya Mouse kharab ho jata hai to Aap Market se 200-300 Rs. me New keyboard and Mouse kharid ke use kar sakte ho.

4. Hard disk

Jab ham market se Laptop kharidne jate hai to hame jyada hard disk space wala Laptop kharidna chahiye kyonki Laptop me Hard disk space badhane ka option nahi hota hai lekin Aap isme External hard disk laga sakte ho.
Desktop computer me hard displace badhane ka option Available hota hai or is me Aap eksath bahut sare External and internal hard disk use kar sakte ho.

5. Screen

Dosto Laptop kharidne jab ham Market jate hai to hame Laptops to pasand aa jate hai lekin unka screen size kam hone ki vajah se ham unko nahi kharidte hai.
Desktop computer me aisa nahi hai isme ham Apne man screen size ka Monitor laga kar use kar sakte hai.

6. Life And Assembly

Desktop computer ko ham Apne hisab se Assemble kara sakte hai. yani ki isme ham processor, Ram, Hard disk, Graphic cards jaise hardwares apne hisaab se Add karwa sakte hai lekin Laptop me Aisa kuch nahi kiya ja sakta.
Laptop ke Mukable computer ki Life jyada hoti hai computer ko ham bahut saal tak kar sakte hai lekin Laptops jaldi kharab ho jate hai.

7. Processor And Ram

Computer or Laptop ke liye Processor and Ram sabse important part hote hai. Inki speed inke Processor par depend karti hai Processor jitni Achi Quality ka hoga computer bhi utna hi Fast kam karega.
Computer ke mother board me Processor easily changekar sakte hai lekin Laptop me bahut mushkil hota hai. Dosto Ram increase karne ka option Laptop And Desktop computer Dono me hota hai.

8. Gaming and Graphics

Dosto pahle computer and Laptop me Graphic cards nahi hote the lekin Ab computers me ye option Available hota hai.
Gaming ke mamle me computer or Laptop me se computer jyada better hai.

9. Hardware Update

Desktop computers ki sabse achi baat ye hai Aap inke Hardwares ko Update kar sakte ho yani ki Processor, Ram, Hard disk and Graphic card ko change kar sakte ho lekin Laptop me Ram ke alawa kisi Hardware ko change karna kafi Mushkil hota hai.

10. Repairing 

Repairing Laptop jab kharab ho jata hai to usko Repair karne ke liye pura khola jata hai or Mechanic ham se usko Repair karne ke jyada paisa mangta hai.
Desktop computer me agar koi part kharab ho jata hai to usko Repair karwane ke liye hame jyada paisa kharch nahi karna padta hai.

Last Words

Dosto is post ko padh kar Aap samajh gaye honge ki Laptop vs computer me se kon sa best hai. Agar aap ham se iske bare me koi Question puchna chahte hai to comment karke jarur bataye.
Dosto I hope Aapko ye post pasand Aaya hoga Agar ye post Aapko usefull laga to isko Apne social media friends ke sath bhi share.

No comments:

Post a Comment