Top 10 Internet Related Tips and Tricks Hindi Me
Internet kon nahi jante! aagar aap is post ko dekh rahe ho pad rahe ho to aap jarur internet use karte ho aabhi har koi aapne mobile par computer par internet use karte hai. Kafi logo ke man me sawal ata hai ye internet banaya kisne! aagar aapko nahi pata to aap internet kisne aur kab bayana hai is post ko dekh sakte ho. Jobhi ho kya aapko pata hai internet se kya kya hota aur aap internet ke madad se kya kya kar sakte ho, sayed aapko pata hai kyuki aabhi aisa kuch bhi nahi hai jo internet ke bina hota hai har kisi kam ke liye internet ki jarurat hoti hai. Internet ke madham se bahut kuch hota hai wo aapko pata hai lekin aajke is post me main aap logo ke sath Internet ke kuch aise tips and tricks share karunga jo sayed aapko pahle nahi pata tha. Aajke is post me aapko google, youtube, google chrome browser internet related sabhi ko lekar kuch na kuch naya tips and tricks share karne ki try kiya hu sayed aapko accha lagega.
Top 10 Internet Related Tips and Tricks Hindi Me
Aagar aap mobile use karke internet use karte ho tab bhi aajke ye tips kam karega aagar aap laptop computer use karte ho tab bhi ye tips aapke kam ayega. main jo tricks aabhi share karunga unme se kuch tips tricks sayed aapko pahle se pata ho sakta hai kyuki sabhi tip basic hai jo new internet user hai uske liye ye tips hai aagar aapko ye tips pahle se pata hai to please aap post na dekhe. to dosto chaliye post ko age dekhte hai.
1. Google Timer :
Dosto aagar aap chahte ho google ko as timer use karoge to aap bilkul kar sakte ho uske liye aapko simple www.google.com par jana hoga uske bad search karna hoga "Timer" uske bad aapke samne google timer open hoga, sath hi aapko Stopwatch bhi milega jo bahuti kam ka hota hai. to dosto aap is traha google ko as timer and stopwatch banakar use kar sakte ho.
2. Search Mp3 Songs Direct Link :
Friends aagar aapko mp3 songs sunna pasand hai aur aap new new mp3 internet se download karte ho to aap niche easy tarike se direct mp3 download link search kar sakte ho, uske liye aapko jo karna hai wo hai google par jakar search karna hoga "intitle:index.of?mp3 Your song name" your songs name ke jaga jis mp3 ko download karna chahate ho uska name type kare uske bad search kare aapko direct download link mil jayega.
3. Google Chrome Browser Ko Notepade Banakar Use Kare :
Aagar aap chahate hai ki aapne google chrome browser ko aap notepad banakar usme kuch bhi text type karoge to ye bilkul mumkin hai, iske liye aapko google chrome par jakar tab par type karna hoga "data:text/html, <html contenteditable>" uske bad enter aapke samne notepad khul jayega.
4. Hidden Password Ko Kaise Dekhe :
Aagar aap chahate ho kisi bhi chupaya huya yani ki hide password ko dekho go to aap ye jarur dekh sakoge, aap jis hidden password ko dekhna chahate ho uske upar mouse ke right click kare uske bad "Inspect" par click kare ek new code box open hoga aap usme se "Password" lp replace karke us jaga "Text" type kare aapko password dikh jayega.
5. Google Ko as Proxy Kaise Use Kare :
Aagar aap chahate hai kisi block website ko open karenge to aap google ko use karke kisi bhi block website ko open kar sakte ho, uske liye aapko google translate par jana hoga uske bad jis block website ko open karna chahate ho uska url dale aur translate kare dekhiye website open ho jayega.
6. Safe Browse Website :
Aap jis website ko aapne browser se open kar rahe ho wo safe hai ya nahi matlab us website par virus to nahi aya koi hacking ka to koi khatra nahi wo sab aap check kar sakoge just simple ek kam karke. aap "http://www.google.com/safebrowsing/diagnostic?site=myhinditricks.com" sirf red color ke url ke jaga jis website ko check karna chahate ho us website par url add kare uske bad search kare aagar safe hoga to bata dega safe hai aagar nahi to wobhi bata dega.
7. Youtube Video Ko Gif Kaise Banaye :
Aagar aap kisi bhi youtube video ko gif image banana chahate ho to ye aap bilkul kar sakte ho, uske liye aapko simple ek kam karna hoga aap jis youtube video ko gif karna chahate ho uske URL ke age gif add karne matlab niche ki traha traha.
https://www.youtube.com/watch?v=cpV8zVdHG9o
https://www.gifyoutube.com/watch?v=cpV8zVdHG9o
Upar ki traha Youtube ke age gif add karte hi aapke samne ek new website open hoga jis site par easy tarike se us youtube video ko gif me convert kar sakoge.
8. Google in 1998 :
Dosto kya aapko pata hai google 1998 me dikhne ke kaisa tha, sach me ye bahuti majedar hai aagar aapko dekhna hai ki google 1998 sal ma dikhne me kaisa tha to aap ye bilkul dekh sakte ho uske liye aapko just google par jakar search karna hoga "Google in 1998" uske bad aapke samne 1998 ke google open ho jayega.
9. Youtube Ke Kuch Hotkeys :
Aagar aap youtube dekhte ho aur aapko video par video dekhna accha lagta hai to aap niche ki hotkeys ko use karke youtube ko aur bhi easy tarike se use kar sakte ho, to chaliye youtube ke kuch hotkey ke bareme jan lete hai.
Youtube Video Pause and Start Karne Ke Liye - K press kare.
Youtube Video ko 10 sec ke liye cut karne ke liye - J press kare
Youtube Video Ko 10 sec piche lane ke liye - L press kare
Youtube Video Sound Off karne ke liye - M press kare
10. Pin Google chrome Browser Tab :
Aagar aap chahate ho ki google chrome ke kisi bhi Tab ko aap pin karke rakho ge to ye bilkul mumkin hai, iske liye aapko just us tab ke upar right click karna ohga uske bad Pin tab par click karna hoga.
Friends main ummid karta hu ki aapko ye post helpful laga hai, main manta hu ki ye bahuti basic internet tips and tricks hai but jo new user hai unko sayed ye tips acha lagega, aagar aapko ye post accha laga hai to please post ko share kare.
No comments:
Post a Comment