Pages

Highlight Of Last Week

Search This Website

Saturday, 21 May 2016

BLOGGER ME BLOG KAISE BANATE HAI

AJ DUNIYA HAR KOI VYAKTI APNI PAHCHAN BANANI CHAHTI HAI,ISKE LIYE WO KUCH BHI KARNE KO TAIYAR HAI,
AJKAL LOG APNI PAHCHAN BANANE KE LIYE BLOG KA SAHARA LE RAHE HAI.
KOI BHI VYAKTI AJ DO TARIKO KO PURN KARNE KE LIYE BLOG BANATE HAI

1)APNE BUSINESS KO AGE BADHANE KE LIYE AUR
2)APNA SOKH PURA KARNE KE LIYE..
BLOG BANANE KE LIYE KYA-KYA CHIJ KI JARURAT HOTI HAI?
1)GMAIL ACCOUNT
2)PERSONAL COMPUTER

SABSHE PAHLE APKO APNA NAYA BLOG BANANE KE LIYE APNE GMAIL ACCOUNT PE SIGN IN YA E-MAIL NAHI HAI TO EMAIL BANANE KE LIYE SIGNUP KARNA PADEGA..APKE PASS EMAIL ID NAHI HAI TO YAHA SE BANA LIJIYE...APNA GMAIL ACCOUNT BANANE KE LIYEYAHA CLICK KARE

EMAIL ACCOUNT BANANE KE BAD APKO BLOG BANANE KE LIYE KYA KARANA HAI JANTE HAI STEP BY STEP
1)SABASHE PAHLE AP BLOGGER.COM OPEN KARKE ISME APNE EMAIL ACCOUNT SE SIGN IN KIJIYE
2)SIGN IN KARANE KE BAD ISME IS TARAH KI IMAGE DIKHEGI...



IMAGE STEPS:
1)BLOGGER ME SIGN IN HONE KE BAD UPAR MUJAB KI IMAGE DIKHEGI ISME NEW BLOG PE CLICK KARANA HAI,IDKE BAD NAYI WINDOWS NICHE KI IMAGE KI TARAH DIKHEGI..



AB IMAGE KE STEP DEKHTE HAI...
1)TITLE: TITLE ME APKO JIS TOPIC KA
BLOG BANANA HAI ISKE MUTABIK APNA TITLE CHUNIYE.
2)URL:ISME APKO APNA URL CHUNNA HAI...JAISE KI MERE BLOG KA URL HAI https://tricks4hindi.blogspot.in
3)TEMPLATE: ISME APKO 1 TEMPLATE CHUNNA HAI,KOI BHI 1 TEMPLATE CHUNNE KE BAD APKO "SAVE"PE CLIVK KARANA HAI AUR APKA BLOG BAN GAYA HAI AUR AP BLOGGER KI DUNIYA SAMEL HO CHUKE HO.

IMPORTANT: AP APNE BLOG JO BHI URL CHUNOGE ISME PISI BLOGSPOT.COM LIKHA RAHEGA...ISKO KAISE HATATE HAI WO ME APKO AGALI POST ME BATAUNGA.

APKO JO MERI YE POST ACHCHI LAGI HAI TO AP USE JARUR APNE FRND KO SHARE KARE AUR KUCH SAMAJ NAHI AYA HAI TO MUJE AP COMMENT KAR SAKATE HO.
Read More »

Google AdSense Kya Hai Aur Work Kaise Karta Hai

Google AdSense ke bare me aj har koi people janna chahta hai,Jo log new blog ya website banate hai uski ek hi kwhahis raheti hai ki use Google AdSense ka account jald hi mil jaye,Google AdSense kya hai aur wo work kaise karta hai iske bare me aj apko batata hu


Google AdSense Kya Hai?

Google AdSense duniya ka no.1 advertising network hai aur wo Google ki hi ek service hai,jisme Google AdSense advertisements company ke pass se ads buy karta hai aur iske badle me advertisements company AdSense ko paisa deti hai aur iske bad AdSense ke ads website,blog me publisher publish karta hai aur us ads par koi visitors click karta hai to uske paise publisher ko milate hai,

Google AdSense ek PPC advertising network hai,PPC means "pay per click"Google AdSense ke ads hamare blog ya website me show karne ke liye hame AdSense ki site me jake apply karna padta hai,lekin uske liye apki website ya blog me quality content hona bahut jaruri hai kyuki Google AdSense ka approval quality content wali site ya blog jald mil jata hai

Google AdSense work kaise karta hai

Google AdSense ek advertising company hai jo advertisements company ke ads ko publisher ke website ya blog me show karta hai uske badle me Google AdSense publisher ko paisa deta hai


Google AdSense world ki no.1 advertising service isliye hai kyuki hamari website me jo content hai uske related hi ads hamari site me show hote hai

Example: Agar apki website ya blog lifestyle se related hai to apki site me uske related hi ads show hoge isse hame ye fayda hoga ki koi bhi visitors asani se ads par click kar dega.

Google AdSense se money earn karne ke liye hame iske rules achi tarah se follow karne padege tab hi ham AdSense se jyada se jyada money earn kar sakenge.


Dosto,Google AdSense se related mera ye 1st article hai,Maine ye naya topic suru kiya hai jisme me apko Google AdSense se related information dunga.
I hope apko ye post pasand ayi hai aur is post ko age bhi share karna na bhule
Read More »

Google AdSense Account Kaise Banate Hai

Google AdSense account se blogger aur youtube user lakho rupaye kama sakte hai,Google AdSense account blogger aur youtube user ke liye bahut jaruri hai,Google AdSense se alawa ham dusre kai tariko se ham hamare blog ya website me money earn kar sakte hai lekin maine meri last post me bataya thaki Google AdSense sabse jyada money dene wali advertising site hai aur ye google ki service he isliye isme dhokha to ho hi nahi sakta,Google AdSense se money earn karne liye sabse pahle apko iska account banana padega,apko is post me Google AdSense account kaise banate hai iske bare me batata hu




AdSense Account Banane Ke Liye Kis Chijo Ki Jarurat Padti Hai


AdSense account banane se pahle me apko ek bat clear kar deta hu ki ap apne blog ya website/youtube ke liye sirf ek hi account bana sakte ho aur ap AdSense ke rules follow nahi karoge to apka adsense account block kar diya jayega

AdSense account banane ke liye hame is chijo ki jarurat padegi

1)Gmail Id


2)Blog,Website

1)Gmail Email Id

Sabse pahle apko AdSense account banane ke liye Gmail ki email Id honi jaruri hai

2)Blog ya Website

Apne apna new blog banaya hi hoga aur usme quality article publish bhi kiye hoge agar apne blog nahi banaya hai to yaha se bana lijiye


Agar apka blog hai aur usme achi traffic bhi a rahi hai to ap AdSense ke liye apply kar sakteho

Google AdSense Account Kaise Banate Hai

Google AdSense account banane ke liye apko below step follow karne padege,lekin apko isme apni sari information real hi bharani hai kyuki future me apka jab payments hoga tab koi dikkat na aye

Step-1

Sabase pahle Google AdSense ki official site AdSense.com site open kare
1)Ab jo new page open hoga usme sign up now ke options me click kare

Step-2

Ab ek new page open hoga


1)Agar ap log in email id se account banana chahte hai to Yes ke options me click kare


2)Agar ap dusri email se account banana chahte hai to create and use anthor account ke options me click kare

Step-3

Ab ek new page open hoga

1) Apni site ka URL likho
2) Apne blog ki language select karo
3)Last me Continue ke options me click kare

Step-4

Continue ne ke options me click karte hi ek new page open hoga usme apko apni sari details real add karni hai,ye bahut hi important page hai,kyuki ap jo address dete ho usi address pe apke AdSense account me 10$ earning hogi tab Google apko ek dak send karega apna account verify karne ke liye aur apka address verify hoga tab hi apko Google AdSense ka payment milega

1)Country:Apna country chune

2)Time zone:Apna time zone select kare,hamare desh ka time zone +5:30 hai

3)Work:Ap jo work karte hai wo select kare

4)Company name: Apna company name likhe us name se bank account hona jaruri hai

5)Address:Apna address real bhariye aur ap jis area me rahte ho uska hi zip code likhe kyuki google apko yahi address pe dak send karega

6)City:Apni city ka name likhe

7)State:Apna state select kare

8)Pin code:Apne area ka pin code likhe jaha ap live karte hai wo hi pin likhe

9)Name:Apna name likhe

10)Mobile number:Apna mobile number enter kare aur use verify karna bahut jaruri kyuki ap jab last options me click karoge tab apne mobile number verify nahi kiya hai to mobile number verify karne ko kahega,ap do tariko se mobile number verify kar sakte ho1)SMS aur 2)Voice Call ap jis se bhi verify Karna chahte ho usse number verify kar sakte ho

11)Ap isme blog ke liye AdSense account bana rahe ho isliye online forum and blog ke options ko select kare

12)Isme sari jagah yes ke options me tick kar de

13)Submit my application:Ek bar apni sari information achi tarah check karke last mesubmit my application ke options me click kar de

Ab apka AdSense account create ho gaya hai aur apka account approve ho jayega tab apke gmail pe iska email a jayega AdSense account approve hone  ka minimum time 24 hours se 1 week hai
Read More »

YouTube Se Paise Kaise Kamaye

ne paisa kamana chahte hai to youtube ek badiya way hai  online paise kamane ka,youtube ko google ne hi develop kiya hai aur isme world ke kai sare log videos upload karke monthly lakho rupaye kama rahe hai
Youtube se paisa kamana bahut hi asan hai iske liye apko sirf youtube me ek channel create karna hai aur is channel me video upload karne hai,youtube se paise kaise kamate hai iski sari jankari aj me apko is post me dunga,bus ap is post ko dyan se read kijiye

Youtube se paise kamane ke liye apko hardwork karne ki jarurat nahi hai isme apko apna account banana hai aur isme 3-4 high quality videos upload karne hai phir us videos ko social site me share karna hai aur apki channel ke 500 views ho jaye tab is videos ko monitize karke google adsense se connect karna hai iske bad apka youtube adsense approve ho jayega tab ap youtube se  lakho rupaye kama sakte ho,To chaliye ab dekhte hai youtube me account create karke online paise kaise kamate hai

Youtube Se Online Paise Kaise Kamate Hai

Youtube se paise kaise kamane ke liye apko below step follow karne padege


1)Sabse pahle ap youtube.com ki site open kare aur usme apni Gmail Id se loginkijiye(Note:YouTube me apko alag se channel banane ki jarurat nahi hai apne jis Id selogin kiya hai wo bhi ek channel hi hai)

2)Channel create karne ke bad usme apko 3-4 videos upload karne hai,videos jitne high quality ke aur long hoge to apka adsense account jald approve bhi ho jayega aur high quality  videos karan apki earning bhi jyada hogi

3)Youtube me videos upload karne ke bad ab is videos ko monitize karke adsense account se connect karna hai

To chaliye dosto ab dekhte hai ki youtube videos ko monetize kaise karte hai

Step-1

1)Youtube ki site open karke isme apni email Id se log in kare

Ab apka YouTube dashboard open hoga isme apko ye option select karna hai



1)Youtube logo ke pas jo icon hai us par click kare

2)Uske bad menu open hoge usme My Channel >Video Manager ke option me click kare

Step-2




Video manager ke option me click karte hi ek new page open hoga usme videos ke samne $ka option show nahi hota hoga iska matlab hai apka video abhi monetize nahi huahai(Note:Yaha mera adsense account approved hai isliye $ ka icon show ho raha hai)



Step-3




Videos monetize option ko enable karne ke liye phir se ap Channel ke option me click kare aur niche options open hoge usme Monetization option me click karke samne disable ka option show hoga use Enable kare

Step-4

Ab new page open hoga usme Enable my Account ke option me click kare

Step-5

Ab youtube policy ka page open hoga

1)Youtube policy ko achi tarah se padhkar tino(3) options me tick karde

2)Last me I,Accept ke option me click kar de

Step-6

Ab new page open hoga usme monetize ke option me click kare aur phir last me Go It ke option me click kar de

Step-7




Go it option me click karte hi ap wapas video manager ke pahuch jaoge aur samne $ option a gaya hoga iska matlab hai apka youtube account monitize ho gaya hai lekin isse apke videos me ads show hogi lekin earning nahi hogi earning start karne ke liye apko youtube account google adsense account se connect karna padega

Youtube Account Ko Adsense Account Se Connect Kaise Karte Hai

Video monetization karne se adsense me apka hosted account ban gaya hoga iske liye apko new adsense account create karne ki jarurat nahi hai apko sirf youtube channel ko is hosted adsense account se connect karna hai aur connect karte hi apki youtube se earning start ho jayegi hosted adsense account se sirf youtube channel se hi earning hoti hai agar apka koi blog hai to blog me ads dikhane ke liye is hosted adsense account ko non hosted account me badlna padega

Step-1

1)Sabse pahle ap Channel>Monetization ke option me click kare


2)monetization ke option me click karte hi samne "View Monetization Setting" option hoga us par click kare

Step-2

Ab new page open hoga,

1)How will be paid?ke option me click kare

2)Phir Associate And Adsense Account ke option me click kare


3)Last me Next ke option me click kar de


Step-3

Ab ap AdSense ki site me pahuch jaoge aur apko yaha ye jankari bharani hai


1)Apni language select kare

2)Phir Continue ke option me click kar de

Step-4(Important Page)


Ab new page open hoga isme apko apni sari jankari sahi se bharani hai kyuki jab apki adsense se 10 dollar earning hogi tab google apko ek dak(post) send karega usme verify pin hoga jab ap is pin ko adsense account me verify karoge tab hi apka adsense account verify hoga isliye is page me ap sabhi jankari sahi se bhariye

1)Country:Apni country select kare

2)Time zone:Apni country ka time zone select kare

3)Work: Apna work select kare

4)Company Name:Apna company name type kare aur isi company name se bank account hona jaruri hai

5)Address:Apna address sahi se bhariye isi address par google apko dak send karega

6)City:Apni city ka name type kare

7)State:Apna state select kare

8)Pin code/Zip code:Apna pin code type kare,ap jaha rahte ho usi area ka pin code enter kare

9)Name:Apna name like

10)Mobile Number:Mobile number enter kare

11)Ap adsense kis kis liye bana rahe ho wo select kare

12)Yaha par sare options me Yes par tick karde(Note:Agar apne mobile number verify nahikiya hai to apko yaha mobile number verify karne ke liye kaha jayega)

13)Submit My Application:Last me sari jankari phir se check karke Submit my application ke option me click karde
Jaise,hi ap submit my application ke option me click karoge tab ap phir se youtube ke account me pahuch jaoge aur apko waha apka youtube account adsense se connect ho gaya hai aysa message show hoga


Apka youtube account ab adsense connected hai ab koi bhi apka videos dekhaga aur koi apke videos ki ads par click karoge tab apko uske paise milege
Dosto,apne is post ke jariye apna youtube account bana liya hoga aur youtube account ko monitize karke adsense se connect bhi kar liya hoga agar  nahi kiya hai to abhi  turant kijiye

Read More »