Pages

Highlight Of Last Week

Search This Website

Wednesday, 16 August 2017

Facebook par fake account ka kaise pata lgaye?

Facebook par fake account ka kaise pata lgaye?



Ajkal Facebook par 20 se 30 percent fake accounts bnaye jate he. Or ane Wale time me ye or jyada badh jayenge bahut se ldke Masti krne ke liye kisi ldki ki pic lgake fake accounts bnate he or dusre fb users Ko bevkuf banate he.
Facebook in accounts Ko pahchan nhi skta or nhi delete kr skta hai Lekin agar kisi fake profile se bahut jyada friend request bheji jati hey to vo use block kr deta hai lekin users dusra account bna kr fir vahi shararat krte he. Aj isliye mene ye article ap logo ke liya likha hai is article me mein apko btaunga Fake facebook account ko kaise pehchaane. To friends ab mein apko wo 5 tips btata hu jisase Fake account ko asani se pehchan payenge.

FAKE FACEBOOK ACCOUNT ko Identify krne ke 5 tips.

1.Profile pictues: 

ye tarika sbse acha he apko bs ye krna hai ki pahle us account ki Profile pics check kre or fir use download kr lena hai.Ab google images me jakar camera icon par click kriye.

Uske bad upload image par click kijiye jab apki image upload ho jayegi to google apko us image ke jesi sari images dikha dega jo internet pr mojud hogi. Isase apko pata chl jayega ki account Profile pic kahin se download ki gayi hai ya asli hai.

2. Timeline:

Kisi Facebook account ka Timeline uske user ke bare me sab kuch dikha deta hai isliye Timeline ko bhi check kriye apko sabse phle "About" me check karna hai isme user ki info hoti agar apko About ka option na dikhai de to ho sakta hai ki vo account fake ho.

Ab uski photos check kariye agar usme bahut sari ladkiyon ki photo ho to apko pata chal jayega ki account fake hai.
Agar user ne apna status update ya kisi friend ke status pr comment nhi kiya hai to vo account fake hoga.

3. Friend list:

Agr uski friend list me bahut sare friends hai to ho skta hai ki vo Fake account ho kyonki koi fake user hi bahut sare logo ko friend request bhejta hai.

4. Facebook url :

Har facebook user ka ek alag url hota hai jaise ki mera hai- https://m.facebook.com/neeraj mishra
Agar kisi name ki jagah pr ldki ka nam ho to vo fake id hai

5. Date of birth:

Fake account banate samay user date of birth par dhyan nhi deta isliye agar uski date of birth 1 jan ho ya 31 Dec ho to vo fake id hai.
To friends aaj maine apko fake account pata krne ke 5 tips bataye hain inhe use kare or apke Facebook par Fake jitne bhi fake accounts hai unhe block kr de. Ye tips apne dosto ko bhi share kare.

Or hamari website ke latest updates pane ke liye ap hame google par follow kr sakte hai ya hamare Facebook page ko like kare
Thank you friends

No comments:

Post a Comment