Computer Ke Jaise Android Mobile Par Recycle Bin Kaise Use Kare
Hello Friends aajke is post me main aap logo ke sath share karunga ki aap aapne Android mobile phone me Computer ke jaise ek Recycle Bin kaise add karoge Deleted files ko jama karne ke liye. Aagar aap computer use karte ho to aapko jarur pata hai ki Recycle Bin kya hai iska kam kya hai, aagar aapke computer nahi hai to sayed aapko pata nahi hoga Recycle Bin kya hota hai. Friends to aagar aapko Recycle Bin ke bareme kuch bhi nahi pata hai to main bata deta hu, Recycle Bin ka kam hai aap jab koi file ko apane computer se delete karoge to wo delete nahi hoga wo Recycle Bin par jakar jama hoga, iska bahut fayda hai aap aagar galti se koi file delete kar dete ho to us file ko asani se wapas la sakte ho Recycle Bin se.
Friends usi traha aagar aapko aapne mobile phone me bhi ek Recycle Bin chahiye to aap jarur add kar sakte ho, uske liye aapko ek App use karna hoga jiska nam hai "Dumpster" aap is app ke madad se aapne mobile phone me pc ki traha ek Recycle Bin add kar sakte ho jis me sare deleted Photo, video jama hoga jo aap chahe to bad me wapas kar sakoge. To friends aagar aap isko use karne me interested hai to niche ki step ko follow kare.
Dumpster Kya Hai Isko Mobile Recycle Bin Kaise Banaye ?
Friends main pehle hi bata chuka hu ki aapko ek app install karna hoga, jiska name hai Dumpster, to aap niche se is app ko download kare uske bad install kare.
Step 1. Upar se app ko download karke install karne ke bad just open kare, oprn karne ke bad jo opiton ayega aap usme se "Skep Into" par click kare. Uske bad jo opiton ayega usme se "Delete It" par click kare, uske bad "Next" par click kare, uske bad "Done" par click kare, uske bad "continue" par click kare. Niche screen shot check kare 5 photo de diya hai aap usi ko follow kare.
Step 2. Friends lagbhag aapke kam ho gaya hai, aabhi check karna hai ki ye thik traha se kam kar raha hai ya nahi, iske liye aap aapne Phone memory yafir "Gallery" par jaye uske bad koibhi ek photo ya video delete kare. Delete karne ke bad aap Dumpster app ko open kare dekhiye aapne jo photo , video delete kiya tha wo aapko mil jayega.
Step 2. Aabhi sawal hai delete karne ke bad Dumpster par photo video to ata hai but is app se dobara mobile me photo video ko wapas recovery kaise kare. Friends ye bahuti easy hai aap sirf Dumpster app ko open kare uske bad jis photo ya video ko recover ya wapas karna chahate ho usko open kare uske bad dekhiye aapko "Restore" button milega us par click kare.
Friends main ummid karta hu ki aapko ye app bahuti accha laga hai aagar aapko lagta hai ye app aapke kam ka hai to isko phone me install rakhe aapka hi fayda hai, koibhi sawal hai to comment kare, post helpful laga hai to post ko share kare aapne dosto ke sath.
Post Aagar Accha Laga hai To Please Share Kare...
No comments:
Post a Comment