Pages

Highlight Of Last Week

Search This Website

Monday, 28 August 2017

Android Mobile Se Aabhi Uninstall Kare Ye Popular 7 Apps

Android Mobile Se Aabhi Uninstall Kare Ye Popular 7 Apps

Hello Friends aajke is post me main aap logo ke sath bahuti jaruri ek jankari dena wala hu, aajke ye post android mobile related hai aagar aap android mobile phone use karte ho to aap is post ko jarur full read kare isse aapko hi fayda hoga. Aabhi world ke popular mobile operating system me se sabse adhik popular hai Android. Khas karke india me har ek insan ke pas aagar mobile phone hai to usme se jadatar android phone hi hai. Android phone itna popular hone ke sabse badi bajha hai free apps aur easy to use, ha dosto android mobile ko use karna bahuti easy hai aur har koi isko use kar leta hai aur andrid ke liye free me bahut jada apps mil jata hai jo others kisi bhi OS me nahi milta hai.

Android mobile jo log use karte hai unme se sabhi log google play se hi apps install karte hai kyuki google play par sabhi apps free me mil jata hai aur ye android ka khud ka app store hai. Lekin ham ko google play se jitna apps install karte hai sabhi aap accha nahi hota hai inme se kuch apps aisa hai jo bahut popular hai but aapke mobile ke liye bahuti risky ho sakta hai. To aaj main kuch aisa hi kuch apps ke list banaya hai jo aapko use nahi karna chahiye aur aagar aap use karte ho to aabhi usko uninstall karna chahiye.
uinstall-kare-ye-apps

Android Mobile Se Uninstall Kare Ye Popular 7 Apps

Friends niche main jo top popular 7 android apps ke bareme batane wala hu aap aagar inme se ekbhi app aapne phone me use karte ho to aabhi us app ko remove kar do, kyuki ye jo app ke bareme main niche bataya hu wo aapke phone ko hack kar sakta hai, phone ko slow kar sakta hai aapke phone privacy ko out bhi kar sakta hai. 

1. Any Antivirus :
Friends aagar aap aapne mobile phone me koibhi antivirus use karte ho to main aapko bolunga ki aap aabhi us antivirus ko aapne phone se uninstall kare, kyuki aagar aap google play se apps install karte hai aur aap aapne phone ko root nahi kiya hai to aapke phone me antivirus ki koi jarurat nahi hai. Lekin aagar aap google play ke bahar dusre websites se apps install karte ho aapne phone ko root kiya ho to wo alag bat hai. but aagar aap sirf google play se hi apps install karte ho to antivirus ki 1% bhi jarurat nahi hoga. Main khud aapne computer par antivirus use karta hu but mobile par aabhi tak koibhi antivirus use nahi kiya.

any-antivirus

2. Clean Master :
Clean Master aagar aap google play par is app ko search karoge to aap samaj jawoge ki ye app kitna popular hai aabhi tak is appko 600 milion use ne use kiya hai. Lekin dosto mujhe aabhi tak ye baat samaj nahi ata ki log is app ko ista use kyu karta hai. is app ka itna popular hone ke karan is app par battery saver, ram optimizer, mobile booster etc hai aur jadatar log soch te hai is app ko use karne se phone ka speed fast hoga, but ye soch galat hai kyuki ye app bilkul fake hai koi kam ka nahi. aagar aapko lagta hai aapke mobile fast clean rakhna hai to aabhi android par hi default system hai jo auto ye sab kam kar deta hai. isi liye aagar aap is Clean Master ko aapne phone me install kiya ho to aabhi uninstall kare aur kuch din mobile ko use karke dekhe aapko koi farak nahi padega.

clean%2Bmaster

3. DU Battery Saver & Fast Charge :
DU Battery Saver iska user aagar aap google play par dekho go to aap hairan ho jawoge kyuki aabhi tak isko 100,000,000 - 500,000,000 itna user ne aapne phone me install kiya hai but sach bat ye hai ki ye app kisi bhi kam ka nahi hai totally fake app hai. kyuki aagar aapke phone me pahle se fast charge feature nahi hai to ye aap aapko kabhi bahi fast charge karne me madad nahi karega. aagar aap isko use karte hai aapne mobile me to aabhi isko uninstall kare.

du-battery-saver
4. CLEANit :
CLEANit yebhi bahuti popular ek app hai aur google play par iska bhi use bahuti jada hai aur rating bhi 4.6 hai. lekin dukh ki bat ye app bhi kisi kam ka nahi, ye app popular hai mobile junk file cleaner ke hisab se. but aap aagar is app ko use karte ho to aapke mobile fast to hoga hi nahi ulta aapka phone pahle se slow ho jayega. jadatar log soch se tai ram cache clean karne se phone ka speed bad jata hai lekin aap galat soch te hai isse aapke mobile slow ho jata hai. aagar aap is app ko use karte ho to aabhi uninstall karo.

CLEANit

5. UC Browser :
World ke kuch popuar mobile web browser me se uc browser ek hai. har ek android mobile user is app ko aapne mobile phone par use karta hai. but kya aapko pata hai ye browser aapke liye kitna risky hai, haa is app ka kuch features accha hai jaise iska download speed, ads block features but baki kuch aisa bad features hai jo aapke liye bahuti risky hai. aagar aap uc browser use karte ho to aapke phone se boring type ka adult ads notification ayega aap aagar nahi chahoge phirbhi ayega ye ek bahuti buri bat hai aur ye browser app aapke mobile ke IMEI, WIFI MAC, etc aapke permission ke bina out kar deta hai jo aapke liye bahuti risky hai. to aap is browser use na karke google chrome, mozila browser ko use kare.

uc-browser

6. ES File Explorer (Free Verison) :

Friends sayed aap jante ho ki ye kitna popular ek file explorer app hai, aabhi tak ye app google play se milion user hoya hai aur iska rating bhi bahuti accha hai. mujhe khud ye aap bahuti jada pasand hai kyuki iss aap par bahut powaer full features hai. but problem hai iss app ka free verison me aagar aap free verison use karte ho to bahut jada ads show karta hai aur aapko popup ads ke madad se trha trha ke apps install karne ko bolta hai aur bad features hai iska free verison me aur wo hai ye aap aapke permission ke bina bloatware and ad-ware install kar deta hai.

es-file
7. Dolphin Web Browser :
Google play par bahut popular ek mobile browser hai, isko aabhi tak 150 milion user ne install kiya hai. is browser me aapko bahut badiya features milta hai jaise ki ad-free, Flash-supporting, HTML 5 video ye sab support karta hai jiske wajha se ye itna popular hai. but iska problem bhi UC browser ki traha hi hai aapka privacy out kar deta hai aur aap is browser se jo kuch search karte ho wo sab save karke rakhte hai aur mujhe lagta hai ye aapke liye bahut risky ho sakta hai. aagar aap is ko use karte ho to aabhi uninstall kare aur dusra koibhi google chrome, mozila browser use kare.

Dolphin%2BWeb%2BBrowser

Friends upar me world ke top kuch android ke bareme bataya hu jo bahut popular hai but aapke liye bahut risky hai aur aapke mobile ke liye koibhi kam ka nahi. aagar aap upar ke koibhi app aapne phone me use karte ho to aap uninstall kare. aagar aapko lagta hai me galat hu aap sahi ho to aap is app ko use kar sakte ho wo aapke marji, but use na karna accha hai baki aapke upar. aagar aapko post helpful laga hai to post ko share kare.
Post Aagar Accha Laga hai To Please Share Kare...                                   

No comments:

Post a Comment