Pages

Highlight Of Last Week

Search This Website

Monday, 14 August 2017

Aadhaar Card Se Paise Transfer Kaise kare

Aadhaar Card Se Paise Transfer Kaise kare



Hi Friends ! ab aap apne aadhaar card se bhi paise transfer kar sakte hai Indian Government ne haal hi me aadhaar card se money transfer ki scheme ko launched kari hai Iski madad se ab aap cashless kisi ko bhi money transfer kar sakte hai aur Adhaar Micro ATM se paise bhi nikal sakte hai.


Bas kuch hi din me ab aapka aadhaar card Debit card ki jagah le lega Ji han isme shocked hone wali koi baat nahi ab aap direct bank me apna aadhaar number or biometric se kisi ko bhi money transfer kar sakte hai aur isse paise bhi nikal sakte hai.

Ish adhar micro atm se un logo ko bahut rahat milegi jinke pass khud ka debit or credit card nahi hai government ne bahut soch samjh kar apni ish scheme ko launch kari hai Ye un logo ke liye bahut acha hoga jinke paas cashless money transection ke liye koi sadhan nahi hai.

India me bahut logo ke pass debit card nahi hai jisse unhe paise transfer or kisi ko payment karne me bahut problem hoti hai Isi ko dhyan me rakhte hue Modi sarkar ne aadhaar card se paise transfer ki scheme ko start kari hai.
Aadhaar Micro ATM Kya Hai

Ye normal ATM swipe machine ki hi tarah dikhati hai aur usi ki tarah work bhi karti hai lekin isme apna bank account authorise tarike se logIn karne ke liye aapko apna Aadhaar card aur anguthe ke nisan ki jarurat padti hai.

Isme se paise transfer or nikalne ke liye aapko sabse pahle isme apna adhar card number type karna hota hai aur uske baad apne anguthe ka nishan lagakar isme logIn karna hota hai.

Ye machine aapko har jagah mil jayegi par iska use karne aur kisi ko money transfer karne ke liye aapka adhar card aapke bank account se link hona chahiye.
Aadhaar Card Se Paise Kaise Transfer/Nikal Sakte Hai

Isme se money transfer or paise nikalne ke liye sabse pahle to aapka UID card aapke bank account se link hona chahiye mujhe lagta hai sabhi logo ne aadhaar ko apne bank account se link kar liye honge aur abhi tak jisne nahi kiya hai wo bhi ish money transfer service ka labh uthane ke liye jald hi apne aadhaar ko bank account se link kar lijiye.

Step 1. Sabse pahle Aadhaar Micro ATM me apna aadhaar number enter kariye.

Step 2. Ab Biometric par apne angutha rakhe.

Step 3. Jaise hi aapke anguthe ki nissan scan kar li jayegi tab aapke bank account par apki authorised entry ho jayegi.

Step 4. Ab aap yaha kisi ko money transfer kar sakte hai ya paise nikal sakte hai.
Aadhaar Micro ATM Ke Fayde Kya Hai

Iske apne bahut fayde hai Isse un logo ko bahut jyada fayda milega jinke pass debit card nahi hai.

Logo ko paise nikalne me rahat milegi aur to aur cashless money transfer or payment kiya jayega jisse currency ki economy me kafi sudhar hogi.
1.Easily bank account par authorised entry kar sakte hai.

2.Bank balance check kar sakte hai.

3.Money transfer kar sakte hai.

4.Paise nikal sakte hai.

5.Kisi ko payment kar sakte hai.

Iska sabse jyada fayda villages me rahne wale logo ko hoga, Unhe paise nikalne ke liye or fund transfer karne ke liye bank me ghanto khade nahi rahna padega aur to aur wo iske use se online payment or money transfer bhi kar sakte hai

Jaha jaha note bandi ka asar bahut jyada hua hai waha Aadhaar Micro ATM ke use se paiso ki problems to solve ho jayegi lekin sarkar ko ish muhim ko logo tak jald se jald pahuchana hoga.

Aadhaar Micro ATM Se Logo Ko Cash Nikalne Me Aasani Hogi –


Ish suvidha ke baad se logo ka ab ATM hi unka Aadhaar card hoga Ish suvidha se bank se cash nikalne me aasani hogi aur un villages ko sabse jyada fayda hoga jaha abhi bhi cash pahuchne me bahut dikkat aa rahi hai.

Aise gaon aur area me jaha ek bhi ATM nahi hai waha bhi iska use karke logo tak paise pahuchaya ja sakta hai lekin aisa tab hoga jab sarkar puri tarah se sahi jankari un logo tak pahucha sakegi.

Ummid karta hu dosto ki aapko aadhaar micro atm ke bare me puri jankari mil chuki hogi aur aap ye bhi jaan samajh chuke hoge ki kaise aadhaar card se paise transfer karte hai.

Agar aapko hamse ish post ke bare me kuch sawal puchna hai ya aap hame ish post ke bare me apna opinion dena chahte hai to niche aap comment kar sakte hai.

Post pasand aaya to use social media me jarur share kariye.

No comments:

Post a Comment