Pages

Highlight Of Last Week

Search This Website

Monday, 21 August 2017

Apne Phone se Aadhar card kaise download kare

Apne Phone se Aadhar card kaise download kare

Dosto is post me main aapko bataunga ki apne phone se Aadhar card online kaise download karte hai. Aap sab ye to jante hi honge ki Aadhar card kitna Important document hota hai. agar ye kho jaye to hame kisi cyber cafĂ© me jakar isko fir se download or print karwana padta hai iske liye hame 20Rs. – 30 Rs. Kharch karne padte hai lekin ab aap isko apne Android phone se easily download kar sakte ho.

Aap do tarike se Aadhar card nikal sakte ho.

1.UID : Aadhar card par likhe huye 12 Digit number ko UID (Unique Id) kaha jata hai. UID ka use karke Aadhar card download karne ke liye aapka Mobile number Aadhar card se connected hona chahiye.
2.EID : ye hamari Enrollment ID hoti hai or ye hamare Enrollment form par likhi hoti hai. Enrollment form hame Aadhar card banana ke baad milta hai.

Mobile se Aadhar card kaise download kare ?


Apne Phone se Aadhar card kaise download kare ?
Step 1. Sabse pahle Aadhar card – Download app ko Google playstore se download kijiye ya. Aap isko niche diye gaye link se bhi download kar sakte hai.

Step 2. Isko apne phone me install kariye or open kijiye.

Step 3. Open karne ke baad aapko download Aadhar ke option par click karna hai.

Step 4. Ab ek form show hoga jisme aapko apni details fill karni hai.

Apne Phone se Aadhar card kaise download kare ?
Step 5. Ab aapke mobile number par ek message ayega jisme OTP hoga usko yaha enter kijiye or Download Aadhar par click kar dijiye.
Apne Phone se Aadhar card kaise download kare ?

Step 6. Ab kuch der baad aapka Aadhar card Pdf formate me download ho jayega.

(Important Note : jab aap us pdf file ko open karenge to aapse password pucha jayega aapka password apke Aadhar card par likha hua pin number hi hai.)

Step 7. Aadhar card download ho jane ke bad isko kisi shop par jakar print karwa lijiye aapke sirf 5-10 Rs. hi kharch honge.

I hope aapko mera ye post pasand aaya hoga agar aap hamse koi question puchna chahte hai to hame comment karke jarur bataye ham aapki puri help karenge.
Is post ko social media par share jarur kare.

Thankyou Readers……

1 comment: