Android phone se Railway Ticket kaise book kare
Hi Friends, aaj main aapko bataunga ki Android phone se online Railway Ticket kaise book karte hai. Dosto kuch saal pahle internet itna advanced nahi hua karta tha to hame train ki ticket lene ke liye ghanto lines me lagana padta tha lekin ab aisa nahi hai aap kahin se bhi IRCTC ki website par jakar online train ticket book kar sakte hai.
Dosto ab tak aapne railway ticket ki booking computerse hi ki hogi lekin ab IRCTC ne apna ek app bhi launch kiya hai jiski help se aap apne android phone se bhi ticket book kar sakte ho. Agar aap janana chahte ho ki apne phone se railway ticket kaise book karte hai to is post ko end tak padhiye.
IRCTC kya hota hai ?
IRCTC ka matlab hai Indian Railway Catering and Tourism Corporation.www.irctc.co.in ek website hai jaha se ham railway tickets book kar sakte hai iska head office New Delhi me hai. Iski website par ek din me 10 Lakh log visit karte hai. Dosto ab main aapko IRCTC ke app se ticket book karne ka tarika batata hu.
Read also..
IRCTC Android App se Online Railway Tickets Booking kaise kare ?
Step 1. Sabse pahle aap Google playstore se IRCTC Rail Connect App Download karke apne phone me install kar lijiye. Aap isko niche diye link par click karke bhi Download kar sakte hai.
Step 2. Jab ye app puri tarah install ho jaye to isko open kijiye or Train Ticketke option ko select kariye.
Step 3. Ab aapko apna account banana hoga New account banana ke liye Register ke option par click kijiye.
Step 4. Account banana ke baad aap jis jagah par jana chahte hai vo station or date select kariye iske baad search train button par click kar dijiye.
Step 5. Ab aapke samne trains ki list aayegi aap usme se kisi ko select kar lijiye jisme seats available ho.
Step 6. Ab Add passenger ka option ayega aapko jitni Tickets chahiye select karke Book ke button par click kar dijiye.
Step 7. Iske baad payment ke option par click karke debit card ya credit card se payment kar dijiye aapki ticket book ho jayegi.
Dosto dekha hamne kitna easily Railway ticket ko apne phone se book kar liya agar aapko ye post pasand aaya ho to isko social media par jarur share kare.
Agar aap hamse koi swaal puchna chahte ho to hame comment jarur kare ham aapki puri help karenge.
Thankyou Readers…..
No comments:
Post a Comment